digital marketing kya hai- [what is digital marketing]

Hello viewers or readers,  Mai “digitalstarurvi” Aap sabhi ka “DIGITAL MARKETING” ke blog me swagat karti hu. is Blogging me hum “Digital marketing Kya hai” ke bare me vistar se sikhenge. Toh jesa Aap sabhi jante hai ki aaj se kuch Sal Pehle log sirf traditional tariko se hi apni services ya products ya business ko sirf offline templates, advertisement, visiting cards , television, radio ke dwara hi logo tak information pahucha pate the lekin jaisa ki technology ne pichle kuch salo mein sab kuch badal diya hai, ab sab kuch digital roop se kiya ja raha hai, jo bataata hai ki kyon har industry ko aaj ek digital marketer ki  jarurat hai taki yah confirm ho sake ki ve apne customers ko value provide karate hai. kyonki jyaadaatar log lambe samay tak kaam karate hain, islie unke paas baahar shoping karane ke lie shaayad hi kabhi samay hota hai

Importance of Digital Marketing ?

digital marketing se tatparye apne targeted customers ke saath internet, tool aur Technology ke madhyam se vastuon aur sevaon ke prachaar se hai. digital marketing business brand banane ke lie apne targeted audience ko ek nirdharit jo customer ki jrurat se Juda hota hai wo Sandesh dete hai , yah dikhata hai ki uske targeted audience ko kis prakaar ki services di jati hai. yahaan internet business ke lie apne targeted customers tak pahunchne ka ek maadhyam hai, aur isliye  ise internet marketing bhi kaha jaata hai.

Importance of Digital marketing ke baare me or adhik jaankari niche di gai hai-

Covid ke wajah se digital marketing ki importance pehele ki tulna me aur adhik badh gai hai. qki har cheej bhautik roop se band hai, lekin aajeevika ke lie humare kamai ke lie business karna bhi jaruri hai. digital marketing ne covid ke samay bahut se logo ko unka Business online chalane ki bht badi madad di hai qki digital marketing social distancing banaye rakhne ke sath sath customers ko jarurat ke hisab se services pradan karta hai, aap digital marketing ke jariye apne products ko online bech aur unka advertisement  bhi kar sakte hai. jaisa ki main sochti hoon ki covid ke samay me chote bade medium business ke lie vardan sabit hua hai . digital marketing ne hume digitaleekaran ke maadhyam se unnat kiya hai yani electronic smart devices or technology  ka sabse sahi upyog hua hai.

digital marketing ne hume aajeevika ke lie online business chalane ki ek choti si ummeed di hai. digital marketing ke jariye kai chote places pr chote business bhi teji se grow kar rahe hai. digital marketing ne yah sunishchit kiya hai ki bahut se log digital marketing ke jariye har chetra me log pesa kama rahe hai. jese ki kai ecommerce suvidhaen yani  amazon, flipcart, urbanclaip, Zomato, swiggy achi tarah se chal rahe hain, aur inone digital marketing ke maadhyam se is covid ke samay mein jarauratmand logo ke lie rojagaar ke kai avasar paida kie hain, aaj kal gali gali gaon ,kasbo, seher ke log facebook , twitter , instagram, whatsapp, linkdin se jud rahe hai or apna business services bhi jod rahe hai. present pandemic ne hume online technology se judne ko jagruk kia hai, jisne logo ko ache se entertainment ke sath sath rojgar bhi dia hai.

Importance of Digital Marketing

 

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top